[Lyrics for Sonu Nigam – Nikle The Kabhi Hum Ghar Se]
Badi door se aaye hai
Badi der se aaye hai
Par yeh na koyi samjhe
Hum log paraye hai
Katt jaaye patang jaise
Aur bhatke hawaon mein
Sach puchho toh aise
Din humne bitaye hai
Par yeh na koyi samjhe
Ham log paraye hai
Yahi nagar yahi hai basti
Aankhein thi jise tarasti
Yahan khushiyan thi kitni sasti
Jaani pehchani galiyan
Lagti hai puraani sakhiyan
Kahan kho gayi woh rang raliyan
Baazaar mein chai ke dhaabe
Bekaar ke shor sharaabe
Woh dost woh unki baatein
Woh sare din sab raatein
Kitna gehra tha gam
Inn sab ko khone ka
Yeh keh nahi paaye ham
Dil mein hi chhupaye hai
Par yeh na koyi samjhe
Ham log paraye hai
Nikle the kabhi hum ghar se
Ghar dil se magar nahi nikla
Ghar basa hai har dhadkan mein
Kya kare hum aise dil ka
Kya humse hua kya ho na saka
Par itna toh karna hai
Jis dharti pe janme the
Uss dharti pe marna hai
Jis dharti pe janme thhe
Uss dharti pe marna hai