[Lyrics for Sonu Sood – Bharat Ek Saath Hai]
Teri koshish meri koshish rang layegi
Maut ke iss maidan mein
Zindagi jeet jayegi
Phir usi bheed ka hissa honge
Bas sirf kuchh hi dino ki baat hai
Maana ki ghani raat hai
Magar poora Bharat ek saath hai
In unchi unchi imaaraton ki
Chhoti chhoti khidkiyon mein sapne bade hain
Filhaal sambhal jaan bacha
Sadkon par tere mere rakhwale khade hain
Phir khushiyon ka mausam aayega
Pakka apna vishwas hai
Maana ki ghani raat hai
Iss raat se ladne ke liye
Poora Bharat ek saath hai
Maana ki ghani raat hai
Koyi maut se ladkar zindagi bacha raha hai
Koyi kachra uthakar bhi taali baja raha hai
Koyi khud ki parwah kiye bina
Apna farz nibhah raha hai
Insaaniyat hai sabse pehle
Na koyi dharam na jaat hai
Maana ghani kaali raat hai
Magar aaj poora Bharat ek saath hai
Jisne tera ghar sanwara
Aaj woh khud beghar hai
Chal pada hai sadak naapne
Chehre pe shikhan man mein dar hai
Aao khol dein apne ghar ke darwaze
Kahein kuchh din bas yehi tera ghar hai
Maana ki kaali ghani raat hai
Magar poora Bharat ek saath hai