Skip to content
Home » Explore Song Lyrics » Stebin Ben – Baarish Hai Jaanam Lyrics

Stebin Ben – Baarish Hai Jaanam Lyrics

  • by
Read Time:1 Minute, 0 Second

[Lyrics for Stebin Ben – Baarish Hai Jaanam]

Tumhari chhat pe dekho naa
Main leke baadal aaya hoon
Jo tum pe haske mar jaaye
Wahi main paagal aaya hoon

Bheegna hai mujhe aaj to
Tumhare sang jee bhar ke

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardam
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardum
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Badi dilkash badi naazuk
Si dekho raat aayi hai
Sulagti hai meri dhadkan
Yeh kya barsaat aayi hai

Yeh mausam bhi hai mauka bhi
Toh kyon hum bewajah tarsein
Chalo naa ek dooje pe
Zaraa hum toot ke barsein

Bheegna hai mujhe aaj to
Tumhare sang jee bhar ke

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardum
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Yeh pehli baarish hai jaanam
Wo jiski chahat thi hardum
Badi mannat se aaya hai
Mohabbat wala yeh mausam

Tumhare saath ki baarish mein
Boondein muskurati hain
Jo naa ho saath mein tere
Wo baarish dil jalaati hai

Idhar tum ho jo baahon mein
Khuda se aur kya maangu
Har ek baarish tumhare saath guzre
Yeh dua maangu