[Lyrics for Tanzeel Khan – Inaayat]
Doori na tere mere
Darmiyan yun chahun
Phir bhi na jaane kyun hai faasla
Par na meri hai zameen
Na mera aasmaan
Main jaaun jahaan bhi
Main dekhun tujhi ko
Yeh kaisa nasha sa
Tu meri hi thi
Aur meri hi rahe
Main jaaun jahaan bhi
Dua yeh maangun
Humesha hi rozana
Jaaga raha teri yaadon mein, main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu,
Jaaga raha teri yaadon mein, main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu,
Meri inaayat tu
Meri inaayat tu
Mujhme samaye tu tera main hun aise
Jaise unn baadalon ka aasmaan
Jin kahaniyon mein mauzoodgi na teri
Feeki har ek woh daastaan
Tu meri hai raahi sun meri zubaani
Main jaaun bhi main dekhun tujhi ko
Yeh kaisi kahaani
Mera kuch bhi nahi tha main tha yun akela
Bhoola saare ghamon ko
Jo mere jahaan mein tu laaya savera
Jaaga raha teri yaadon mein, main
Jaaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu,
Jaaga raha teri yaadon mein, main
Jaun jahan wahan paaun tujhe
Judi tujhi se har khwahishein
Meri inaayat tu,
Meri inaayat tu
Meri inaayat tu
Meri inaayat tu
Meri inaayat tu
Sar pe chadhi hai tu kuch ab yun mere
Baatein teri galat bhi ab sahi lage
Kehti hai tu na hai koyi pari magar
Mujhko to jannat tera ghar lage