[Lyrics for Toofaan – Purvaiya]
Yehi zindagi hasaye
Yehi zindagi rulaye
Yehi zindagi de lori
Yehi zindagi jagaye
Yehi lati hai andhere
Yehi roshni bhi laaye
Yehi zakham zakham kar de
Aur yehi marham lagaye
Har pal yahaan naya sama
Naye zameen naye aasman hai
Kabhi to hai naram hawa
Aur kabhi garam aandhiyan hai
Aandhiyan hai
Tez chali re purvaiya
Din mein laayi raat re
Tez chali re purvaiya
Bikhre hai phool aur paat re
To bas hairan hairan soche insaan
Honi hai ab kya baat re
Bas hairan hairan soche insaan
Honi hai ab kya baat re
Tez chali re purvaiya
Samay ke panno pe likh rahi hai
Yeh zindagi jo kahani
Hai kaise mod isme aane wale
Yeh baat kisne hai jaani
Woh aankhein jo kahi nahi
Unke sapne maine hai sambhal ke rakhe
Yaadon ne saari tasveerein aur dil ne
Dard hai kamaal ke rakhe
Apni dhadkano mein aur saanson mein
Maine jisko rakha hai zinda
Uski umeedon ko uske khwabon ko
Kaise hone doonga sharminda
Raahon mein thhe biche huye
Dehke dehke angare
Aakash se patthar barse
Yeh sapne phir bhi na haare
Phir bhi na haare
Tej chali re purvaiya
Duniya lagaye hai ghat re
Tej chali re purvaiya
Dil nahi maanta maat re
Toh bas hairan hairan soche insaan
Honi hai ab kya baat
Re to bas hairan hairan soche insaan
Honi hai ab kya baat re
Tez chali re purvaiya purvaiya
Tez chali re tej chali re
Tez chali purvaiya