[Lyrics for Usama Ali – Shikayat Aur]
Aa mil lo kahin mujhse
Ke umeedein kuch baaki hai meri
Tumse na jaane hasrat hi rahi ho tum meri
Ke shayad yeh din aakhiri ho
Hum khwahish mein mar jaaye
Aa milo kahi mujhse
Ke umeedein kuch baaki hai meri
Tumse…
Leke chalo wahan mujhe
Main dekhta hoon aasman mein bhi ab tujhe
Dekha ek roz taara tootke gaya
Maangi bhi duaaein, par haan tu nahi mila
Wo aaya hi nahi, jo ik dafa gaya
Wo door itna ho gaya, main dekh na saka
Hai dhoondta wajah, ab dil ye bewajah
Hai toota is tarah se dil, ke fir nahi laga
To aa milo kahin oh mere humnashi
Main ab bhi hoon akela ye tu samjha kyu nahi
Wajood-e-dil-lagi ki aarzoo nahi
Mohabbat to wahin hai jo ki milti hi nahi
Mohabbaton mein jhoom lu
Main kya karu bata
Main muktalha hu gam mein
Ya main gham ki hoon dava
Main baddua hoon, ya duaa hoon
Ya mai hoon saza
Ab tu bata ke main hoon
Ya phir tu hai laapata
Tu bata…
Laapata ho gaye humare liye tum
Itna chaaha ke tum bewafa ho gaye
Jaana bhoolna tha tumhe, khuda ki kasam
Hath jab bhi uthe, tum duaa ho gaye
Hothon pe duaa hai waqt tham nahi raha
Tu naa mil saka tu bas nazam mein hi raha
Duniya ki mohabbaton ne sab badal diya
Tera gham ajeeb hai, wo wahin ka wahin raha
Bhoolna main chah raha tha tujhko is tarah
Naa teri jagah koi ho, naa ho tu waha
Ab teri talaash mein pata chala mujhe
Tumse hi shuru hai raat, tumse hi subah
Tu mil gayi to jaan legi zindagi mujhe
Jo tu nahi, to chahiye kuch nahi mujhe
Khwab tu hai, saans tu hi raat tu subah
Kaat dunga zindagi main dekh ke tujhe
Dekh le mujhe, ye kat rahi hai zindagi
Ab dekh ke tujhe, toot hi gaya hoon
Tu samet le mujhe, samet le mujhe
Kahin bikhar na jaau main…
Haan..
To aao na mere aansu ko poochho
Aur phir se rulaao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye
To aao na dil ki baatein karo
Aur phir se sataao mujhe
Mera sab kuch hai tere liye